Jism ko rooh bipharne* ka faayda kya hai
Aag se dhuan ubharne ka faayda kya hai
(bipharne: struggle/ disagree)
Kar ke hisse ye dard kam na hoga
Tu toota hai to bikharne ka faayda kya hai
Woh aankhein hi uski sari milkiyat* hain
Phir ban sanvarne ka faayda kya hai
(milkiyat: wealth)
Ghulte nahin ashqon mein daagh-e-dil
Chashm-e-tar* rakhne ka faayda kya hai
(chashm-e-tar: wet eyes)
Ek shai* nahin muqmmal is jahan mein
Tasveer mein rang bharne ka faayda kya hai
(shai: object/thing)
Main jo khud ko nahin taalashta khud mein
Mujh se rabt* rakhne ka faayda kya hai
(rabt: relation)
Dard hai sabab*, to zakhm kaafi kyun nahin
Qatra qatra lahoo girne ka faayda kya hai
(sabab: object/thing)
by Aadil | #aadilsink
Leave a Reply