Hijr-e-yaara na satta bewajah
Ban gaya tu kyu wajah bewajah
(Hijr-e-yaara: Separation of beloved)
Dil se keh waqt ruk jaa pagal
Chal pada karne yeh wafa bewajah
Main usse bhool chuka bhool chuka
Baat ye dil na badaa bewajah
Naam lene ka irada bhi na tha
Chal pada zikr tera bewajah
Un se milne ki wajah koi nahi
Dhundhta kyun hai wajah bewajah
Woh mera tha na mera ho paaya
Kyun muqaddar se ladaa bewajah
Ishq hi mere liye kaafi tha
Har khata phir kyun saza bewajah
Tujhse khud bhi na wafa ho paayi
Kar na qismat se gila bewajah
Written by: Shakeel Hashmi
Leave a Reply