Chhalke ke ashq be-sabab* gaye hain
Ye tumhare dard bahut be-adab* gaye hain
(be-sabab: without reason, be-adab: without manners)
Jaam-e-khaali* se na pooch matlab khuda ka
Yaad nahin hosh mein masjid kab gaye hain
(jam-e-khaali: empty glass)
Kyun na thodi aur bewafaai kar le un se
Wafa-daar kaun se jannat sab gaye hain
Ghair-numayaan* teri nazar se mud aaye aise
Barha* aasman ki oor pathar jab gaye hain
(barha: repeatedly, ghair-numaayan: unnoticeable)
Jab jab ki tawaqoo* pyaas bhujane ki aadil
Pata saraab-o-samandar* ka wo de tab gaye hain
(tawaqoo: expectation, saraab-o-smandar: mirage & desert)
by Aadil | #aadilsink
Leave a Reply