Jo tukde ho jaate insaani zahan ke
Mere hisse aate kitne hisse tere
Samjhana hai aasan par jaane de
Hijr-e-yaara na satta bewajah
Ban gaya tu kyu wajah bewajah
Dil se keh waqt ruk jaa pagal
Chal pada karne yeh wafa bewajah
Hawa mein aahistagi milane lage hain
Haath se shama bhujane lage hain
Chal basa tha dariya mein doob kar
Ye kis ka janaza uthane lage hain
Apni shiddat ko hawaon mein zam kar dein
Is toofan-e-mohabbat ko mausam kar dein
Parwane ko nahin pata anjaam-e-sitam*
Kuch shama ki roshni maddham kar dein
Itna to yaar mere mujh par karam kar dein
Dil ki nakamiyon ko mohtaram kar dein
Khudaya us par jaan nissar jab ho jaye
Ye maqsad-e-hayat phir khatam kar dein
Nakhl-e-sehra nahin saraabon ko dhoondhte hain
Hum jannat mein reh kar kharabon ko dhoondhte hain
Purani aadat hai ya ek adaa, koi kya jaane
Woh sukoon-e-dil mein aazabon ko dhoondhte hain
Jism ko rooh bipharne ka faayda kya hai
Aag ko dhuan ubharne ka faayda kya hai
Kar ke hisse ye dard kam na hoga
Tu toota hai to bikharne ka faayda kya hai
Chhalke ke ashq be-sabab gaye hain
Ye tumhare dard bahut be-adab gaye hain
Jaam-e-khaali se na pooch matlab khuda ka
Yaad nahin hosh mein masjid kab gaye hain
Dushman-e-jaan koi bana hi nahin
Itne hum laiq-e-jafa hi nahin
Aazma lo ki dil ko chain aae
Ye na kahna kahin wafa hi nahin
Kaisa dil aur us ke kya gam ji
Yun hi bas baatein banate hain hum ji
Us se ab kpi baat kya karna
Khud se bhi baatein karte hain kam ji
Bahut katra rahe ho saqi se
Gunah-e-tarq-e-baada kar liya kya
Yahan ke log kab ke ja chuke
Safar bahut zyada kar liya kya
Composer: Aljosha KonstantyAlbum: DiscoveryComplete album at : https://music.aljoshakonstanty.com/album/discovery-ep
© 2021 Zullmat — Powered by WordPress
Theme by Anders Noren — Up ↑